Sorry my non-Hindi understanding readers. I HAD to write this one in Hindi. It would have been no fun in English.
Aajkal jidhar dekho udhar Harry Potter ka hi naam hai. Samajh me nai aa rahela hai ki yeh much-much kayka hai aur ye Harrybhai hai kaun? Tension nai leneka. Apun bataega.
Harry Potter- Apun ki story ka hero. Iska mummy-daddy jab ye chhota tha tab off ho gayele the. Tab se ye banda Dursleys naam ke shot logo ke saath rehta hai. Aur vo solid jaadugar hai, ekdum jhakaas jaadoo-tona karta hai!
Ron Weasly- Harrybhai ka best friend, lekin saala bahut fattu hai. Uske bapu ka chocolate-biscuit bananeka dhandha hai. Ye, uske 2 bade brother log aur chhoti sister sabke sab jaadugar hai.
Hermoinie Granger- Apun ki story ki heroine. Sab jaadugar bachcha log me sabse scholar. Usko kuch bhi poochneka, sabkuch jaanti hai. Ronbhai is item pe kabhi kabhi line maarta hai lekin abhi tak kuch huela nai hai.
LordVoldemort- Story ka main villain. Sab log aisa bolte hai ki isne Harry ke mummy-pappa ko tapka dalela tha. Vo encounter me Harry ke sir pe ek nishaan pad gayela tha. Aur ye banda ekdum hatke hai- bole to kabhi zinda rehta hai to kabhi marela! Jab bhi ye zinda hota hai tab Harry ko sir ke nishaan me shot lagta hai. Sahi hai!
Melfoy- Bade baap ki bigdi aulaad. Khud ko bahut shaana samajta hai. Uska Harry ke saath 36 ka aankda hai.
Hogwarts- Jaadu-tona seekhne ka school jidhar sab bhari bhari jaadugar log aate hai. Idhar me koi bhi aandu-pandu ko admission nai milta. Khali vo log jinko inka letter milta hai vohi bande idharme jaate hai. Ye school pahuchne ka ek hi raasta hai- vo VT station jaisa bada station se 9 3/4 number ke platform se fast train pakadneka.
Dumbledore- Hogwarts school ka principal. Ekdum buddha aadmi hai lekin usme dum solid hai. Log bolte hai ki vo duniya ka sabse bhaari jaadugar hai.
Azkaban- Jaadugar logo ka lock-up. Jo jaadugar jyada shaanpatti kiya unko ye lockup me andar kar daalte hai. Aur ek baar andar gaya matlab gaya. Saala udhar se bhaagke nikalna mushkil hi nahi, namumkin hai.
Dementors- Azkaban ke jail ke pandu log. Unse panga liya to apunka sab mood off kar daalte hai. Ekdum danger log.
Hagrid- Ekdum body builder type ka aadmi lekin dil ka bahut achcha hai. Hogwarts ki school ka watchman hai ye. Bachcha log ko hamesha help karta hai.
Quidditch- Apna Cricket aur football ko mix karke banaela game. Sab player log jhaadu pe baithke udtaa hai aur ek apne aap udnewala ball ko pakadne ka try karta hai. Ye Jaadugar log ka timepass hai.
Cho Chang- Chinese item. Harry pe line maarti hai aur ek baar to chance maarke usko kiss-viss bhi kar daala. Bahut daring wali hai! Lekin Harry ko saali mamu banaake gayi last me.
Muggles- Aisa public log jinko jaadu tona karneko nahi aata. Bole to apun jaisa log. Aisa logo ko Hogwarts me entry nahi milta.
Sab samajh gaya na? To abhi jaaneka aur picture dekhneka. Aur vo book saala English me likhela hai. Agar English aata hai to bhailog vo book bhi padh daalne ka!